Privacy
Last updated: 29 November 2026
Hum kya jaankari lete hain
Jab aap form bharte hain ya WhatsApp karte hain: naam, mobile number, shehar, aapki zaroorat, aur jo aap khud batate hain (jaise parivaar ke sadasyon ki umar ya maujooda policy ki details).
Kis kaam ke liye
- Aapse sampark karne, Policy Health Check karne aur insurance options dene ke liye.
- Aapki policy, claim aur renewal mein madad ke liye.
Hum aapki jaankari bechte nahi. Policy ke liye zaroori jaankari sirf us insurer ke saath share hoti hai jiska plan aap chunte hain.
Website ka form
Website par bhara form kahin save nahi hota: wo aapke phone mein WhatsApp kholta hai aur sandesh aap khud bhejte hain.
Aapke adhikaar
Aap kabhi bhi apni jaankari dekhne, theek karwane ya hatwane ke liye keh sakte hain, aur "STOP" likh kar messages band karwa sakte hain.
Sampark
Portify Wealth, Aligarh, Uttar Pradesh. Website ke WhatsApp button se humse baat karein.